Monday, November 14, 2011

Too alone too lost...

Kahan jaa raha hun aaj yeh kisko hai pata,
Jaane humse ho gayi kaunsi yeh khata,
Kya socha tha aur kya hai asal mein zindagi meri,
Kaisi bataun woh baatein jo shayad kabhi na thi meri.
Ban kar aaj khud se main anjaan,
Bhatak raha dar badar yun har subah aur sham,
Kisi mehfil ki hua karte the hum kabhi shaan,
Aaj kahin nahi hai mera koi naamo nishan.
Ugte sooraj ko karta hai har parinda bhi salaam,
Socha tha karunga main bhi roshan apna naam,
Kisne socha tha aayega bhi ek din aisa mukaam,
Na rahi ab koi hasti na koi naam bas ek chehra jo hai gumnaam.
Aye khuda tune bhi accha yeh manzar dikhaya,
Har hansti soorat ne mujhe hai aaj rulaya,
Kyon meri kismat par tune grahan lagaya,
Hun toh tera he ansh, mujhe dukh deke tune kya paya.
Har aanson ke katre mein baha hai dard mera,
Har shaam ke baad mila na koi savera,
Jo sochi thi mere mann ne ek unchi udaan,
Maula mere ab lele meri jaan...

0 comments: