Sunday, December 13, 2009

Raaz...

Har nazar mein tha ek raaz ghehra,
Mujhe har tarf nazar aaye bas tera he chehra.
Thi unn aankhon mein ek aisi kashish,
Jaisi na de sake koi charas na he hashish.
Uss raaz ki khatir meine bhuli di apni zindagi,
Har lamha apna, har apni khushi.
Jiya toh jiya bhi kya aisa jo ji he na paya,
Jaanunga woh raaz bann ke tera saya.
Teri har nazar mein ab bas jaunga,
Raaz jaane bina ab na reh paunga.
Har lamhe mein teri hogi aahat meri,
Ab na duur hai woh raaz waali aanken teri.
Bas ab aayega ye raaz unn aankon se bahar,
Tujhe na chahega phir koi na karega tujhse pyar.