Sunday, February 18, 2007

Hmmmm....

Kya soch ke kuch likh raha hun,
kuch hai he nahin ab yahan,
soch ke kya aaya tha main,
aur kya ho gaya hai.
Havaa ne cheri hai aisi dhun,
dil jisme ho gaya hai gom,
dil ke taaron ne aisa swar uthaya,
zehen main aaya, kisko khoya kisko paya.
Jeene ka ab aur koi naya bahana nahin aaya,
Jisko dekho wahi mujhe bhul paya,
Kisi ki soch ka tha ye kasoor,
Ya main hun he aisi cheez huzoor.
Soch ke aaya to tha ki kahunga dil ki baat,
Par shabdon ne nikali ek nayi baraat.
Kahin ek tha anjaana sa shor,
Is jeewan ki nahi hai kahin bhor.
Kya main hun itna gaun,
Kya mera jeewan hai itna maun,
Jo jeena tha mujhe usse na jee paa raha hun,
Aaj main apne aur apne saaye ko bhula raha hun....
Bhula raha hunn.....