Tuesday, July 03, 2007

Barish mein bheeg jaun...


Barish ki boondon mein aaj phir jhoom jaun,
Sunhare paloon mein youn kho jaun,
Jhoom jhoom ke aaj aise naachun,
Masti bhare mann se malhar gaun,
Aisa hai manzar aaj is sawan ka,
Sab bhulkar main boondoin mein bheega,
Barkha ki hai aisi mast ghata,
Aaj uske aanchal mein main lauta,
Woh sawan tha mere bachpan ka,
Aaj hai ek sapna mere mann ka,
Khushi bhare mann ki hai ye aarzoo,
Phir se jee le un palun ko tu,
Bheega hai aaj aise mera tann,
Jaga di hai mann mein nayi umang,
Ho raha hai aisa boondon ka nasha,
Aane laga phir se jeene ka mazaa,
Aise naachun jaise vann mein more,
Har pal ko jee bhar ke jiyun chinta chhor,
Phir se bheegun iss saawan mein,
Phir se kho jaun unn boondon mein,
Phir se jiyun unn yadoon ko,
Phir se paun unn hasin palun ko,
Nacchun, gaun masti mein kho jaun,
Khusi ke inn hasin palon ko mein kabhi na bhul paun,
Bas khushi se jeeta jaun,
Aaj iss saawan mein phir jhoom jaun,
Yadon, palon sab ko sanjoon ke laun,
Barish ki boondon mein aaj phir se bheej jaun...
Aaj phir se bheeg jaun.....
Phir se bheeg jaun.....

1 comments:

Arti Honrao said...

Mann to mera bhi karta hai
Baarish mein bheeg jaane ko
Muskuraate labon parr
Baarish ka pani thirkaane ko
Masti mein jhoomkarr
Kagaz ki kashti behte pani mein bahaane ko



Awesome!



GBU
Arti