Aaj phir se dil ke ander kuch tut gaya,
Aaj phir aankhon ka sabr chhoot gaya,
Kuch chahe thi pehchan apni bhi koi,
Apno ki icchhaun mein woh hai khoyi,
Jab humne kuch kiya tha ek dafa arz,
Unhone daba diya usko ki kuch aur hai aapka farz,
Socha tha shayad hum bhi izzat payenge,
Samajh aya ki yeh armaan reh jayenge,
Unhone na samjha humhe bhi koi insaan,
Kash hote hum bas kuch pal ke mehmaan,
Kisi ko na shiqwa hoti aur na he gela,
Bas ander se hamara he dil hai chhila,
Phir bhi kambakhat karta hai himakat,
Sochta hai milegi usko shayad kabhi izzat,
Ho jayega kafoor tera yeh khwaab nadaan,
Arey pehle koi samjhe toh tujhe insaan,
Pehchan shayad teri tab banjayegi,
Jab tere janaze mein yeh duniya aayegi...