Tuesday, February 10, 2009

Jeevan...

Bas baitha hun likhne ke liye,
Har shad mein hai gahrayi,
Ek nazar daal ke dekho inme,
Milon faile hui hai tanhai.

Jeevan ke yeh reet hai aisi,
Samajh na paye sab koi,
Samajh samajh ke jo samjhe,
Hari ko samjhe wohi.

Jo hai likha woh nahin hun main,
Jo na likha wahi hai mera roop,
Likhne waale ko tum samjho,
Likhta hai jaise chanuon aur dhoop.

Tanhai hai tere saathi,
Na hai koi ab aur bhi tera,
Raat bhar kyon rota hai tu,
Shayad ek din hoga savera.

Kya maine socha tha,
Kya maine hai paya,
Yeh jeevan toh bas moh hai,
Aur har vastu hai maya.

Aaj soch raha hai har antarmann,
Kya hai mera satya,
Tanhai hai ab mera saaya,
Mrityu ko har jeev ne paya.

Har aane wala ek din toh jata hai,
Phir mera mann kyon ghabrata hai,
Aaj toh phir uday hua hai mera,
Abse har din hai naya savera.