Monday, September 25, 2006

Safar-e-zindagi...

Ek aap jaise kuch kadradanon ki wajah se he to hum hai...
warna apni hasti bhi mitti mein gum hai....
jahan se aaye the, wahin to ek din jaana hai.....
phir is sach se kyon sharmana hai..
na hasti rahegi ek din na naam...
bas kuch nagme, aur thodi jaam...
koi nahin jaanta apna anjaam....
arey ye dunya karti hai har ek ko badnam....
main to yaha ka musafir hoon....
nahin mera koi thikana hai....
aaj ko jeta hoon,kal kisne jana hai...
jo aaya tha usko to ek din usi mitti mein mil jana hai...
kuch meri chahat hai,aur baaki beimaan zamana hai
bas is hasti ko jab tak bachana hai....
jab tak khak se nahin hua dostana hai....
uske baad to wahi mera ghar hai,wahi gharana hai....
mitti se aaya tha... mitti mein he mil jana hai....
mitti mein mil jana hai, mitti mein mil jana hai....

5 comments:

Anonymous said...

baap re...
thoa translatin milega??
;)
tc
n welcome bak...

Kishley (Dolly Sapra) said...

absolutely wonderful!!
kuch meri chahat hai,aur baaki beimaan zamana hai :) yahi to sab kuchh hai zindagi mein..

P.S. did u write this poem?

Manish said...

@Chaitra
Sure madam pura translation milega... hahaha
thnx

@Doll (Kishley)
thnx for sayin it wonderful... n yup I wrote those few lines....
yahi hai ki agar aap life ko samajh jao to koi prob he nahin hai... but sometimes we dont understand and sometimes we dont want to....

tc
gbu both
Manish

Arti Honrao said...

Mannu bhai ... kya hua aapko? U sad :(
Waise aapne jo likha hai true hai...
that is LIFE!
ek din mitti mein mil jaana hai!



GBU
Arti

Anonymous said...

Hallo.
Ich mochte mit Ihrer Website lostwithinme.blogspot.com Links tauschen