Monday, March 22, 2010

Chhahat...

Har lamhe mein tu hai,
Sanson mein hai tera he saath,
Har chhahat ki hai tu aarzoo,
Jeene ka tu hai ek raaz.
Zarre zarre mein hai teri chhahat,
Rangon mein hai basi teri rangat,
Deewange hai tujhse meri,
Zindagi kya zingadi agar tum na ho...

Monday, March 15, 2010

Zindagi ki daud...

Chand Sawaalon mein kat gayi zindagi saari,
Numeron ki daud mein woh kyon hai haari.
Khel hai ye dimag ka, jo dil na samajh paaya,
Dil ke armaanon ko dil mein he kyon dafnaaya.
Pehli bar jab dekhi thi, duniya thi badi chulbuli,
Phir kitaabon ne kyon macha di hai dil mein khalbali.
Bachpan na jeeya, na jee paaya jawani,
Kahan kho gaye woh din, meri asli zindagani.
Sochta tha khel mein bahut naam paunga,
Papa ne kaha khel se kaise note kamaunga.
Addition, subtraction division sab ne bahut uljhaya,
Newton ke laws ne raat raat bhar jagaya.
Paise ki chahat ne poori zindagi mujhe daudaya,
Sochon toh kya main kabhi khud jee paya.
Hansi thi maangi, thodi khushi thi chahe,
Paise ki daud mujhe aaj kis mod pe le aayi.
Ab har sawaal ka ek he jawab sab mujhse lo,
Ek pal toh mujhe jeene do jeene do...

Saturday, March 06, 2010

Khali ehsaas...

Waqt nein zindagi ko kai hisson mein baant diya,
Apni khushi ko apne haathon se kaat diya.
Jiya toh main kya jiya khud se aisa karke pyar,
Sabko maine mana mohra, zindagi ka kiya vyapaar.